Saturday, July 16, 2005

Shayari

Here are some shers I collected over the time, enjoy them.


Na karta shikayat zamane se koi,
Agar man jata manane se koi,
Kisi ko kyon yaad karta koi,
Agar bhool jata bholane se koi

Ek din hamare aansu humse pooch baithe,
Ki hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha hum yaad unhe karte hai,
tum kyu chale aate ho?

Ek lamhe mein unhone zindagi sawar di,
Ek lamhe mein unhone zindagi ujad di,
kasoor unka nahi hamara hai,
Humne un do lamho mein zindagi guzaar di.

Maut ke baad yaad aa raha hai koi,
Mitti meri kabr se utha raha hai koi,
Aye Khuda do pal ki zindagi aur dede,
Meri kabr se udas jaa raha hai koi.

Jinki yaad mein hum dewaane ho gaye,
Woh hum hi se begane ho gaye,
Shayad unhe talaash hai naye dost ki,
Kyu ki unki nazar mein hum purane ho gaye.

Jaam pe jaam peene se kya fayada?
Sham ko pi subah utar jaayegi
Arre do boond meri yaari ke pile,
Zaari zindagi nashe mein guzar jaayegi.

Kismat se apni sabko shikayat kyu hai?
Jo nahi mil sakta usise mohabbat kyu hai?
Kitne khade hai raho mein,
Fir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai?

Mohabbat ke bhi kuch andaaz hote hai,
Jaagti aankhon mein bhi khawab hote hai,
Zaroori nahi ghum ke aansoo nikle,
Muskurati aankhon mein bhi sailab hote hain.

Na pucho humse koi baat,
Ki zindagi khud ek sawal ban ke reh gayi hai,
Dard itna hai seene mein,
Ki khushi ek khayal banke reh gayi hai.

Bada ajeeb mohabbat ka yeh fasana hai,
Dil hai tera, Tu kisi aur ka deewana hai.

Ai dost tu bhi likha kar shayari,
Meri tarah tera bhi naam ho jaayega,
Log fekenge pyaaz aur tamatar,
Shaam ki sabji ka intezam ho jaayega.

Raat woh khwabo mein aayi,
Aitlam ho gaya,
Unki bhi izzat bachi rahi,
Mera bhi kaam ho gaya.

Khuda na kare aapko koi gham mile,
Khusiya aur hasi hardam mile,
Gham jabbhi bade chale aapki aur,
Khuda kare raaste mein use hum mile.

Yu mile ke mulaqat ho na saki,
Hont kaape par baat ho na saki,
Meri har nigah daastan keh gayi,
Unko shikayat rahi ki baat ho na saki.

Yaad na karoge toh satayenge,
Ruthoge toh manayenge,
Rooge toh hasayenge,
Pyaar hain hum tere, saaya nahi,
Jo andhere mein saath chod jaayenge.

1 comment:

Naveen said...

At last you published it .... hehe :D